SAD POETRY
wo tasvvur jo akele me hasata tha kabhi
wo ek shaks khayalo me jo aata tha kabhi
jiske aane se hawao se mehek uthti thi
wo jo chalta huva saba ko jalata tha kabhi
jiske hasi ne gulo ko bhi saliqa baksha
jo tehalta huva lehro ko sikhata tha kabhi
saare taaro ki chamak mand kiye deta tha
wo jo palko ke nazaakat se uthata tha kabhi
ab ke dushwar hai kyon uska tasvvur karna
jiska chehra meri yaado ko sajata tha kabhi..
=============================================
Najanay kaisi Hawa chali hy..
K Sheher Saara badal gya hy..
Kisi ki Aankhien badal gai hain..
Kisi ka Chehra badal gya hy..
Haseen Din thay Jameel Raatain..
Na khatm hoti thien Apni Batain..
Ajab Chup si theher gai hy..
Wo jab se Lehja badal gia hy..
Fizaien Be-Noor ho rahi hain..
Hawain Chup Chap Ro rahi hain..
Bus ek Judai sy Apny ghar ka..
Tamaam Naqsha badal gya hai.
=============================================
Ho Gayi Rukhsat Ghata Barish k Baad,
Ek Diya Jalta Raha Barish k Baad.
Mery Behtay Aansu Ko Dekh Kar,
Ro Pari Thandi Hawa Barish K Baad.
Meri Tanhai Ka Daman Thaam Kar,
Kuch Udaasi Nay Kaha Barish K Baad.
Yaad Teri Orh Kar Main So Gaya,
Khuwab Ka Dar Khul Gaya Barish K Baad.
Apnay Kachay Ghar Ki Har Diwaar Par,
Tera Naam Likh Diya Barish K Baad.
=============================================
Ye meri kitab.e.hayat hy
Isy dil ki ankh sy parh zara
Main warq warp tery samny
Tery rubaru tery pass hun
Ye teri umeed ko kia hoa?
Kbhi tuny ghor nhn kia?
Ksi sham tuny kaha tha
Teri sans hun teri aas hun
Ye teri judai ka gham nhn
Ye silsaly to hain roz k
Teri zaat iska sabab nhn
Kai din sy yunhi udas hun
Ksi or ankh sy dekh kar
Mujhy esy wesy laqab na dy
Tera eytbar hun Jan.e.man
Na guman hun na qiyas hun.
=============================================
Ek baar hi jee bhar k saza Q nahi detay?
Gar harf-e-ghalat hoon to mita Q nahi detay?
Saya hoon to phir sath na rakhnay ka sabab kya?
Pathar hoon to rstay say hata Q nahi detay?
Raah-zan ho to phir shoq se looto meri dunya,
Rehbar ho to phir ghar ka pata Q nahi detay?
Ab shiddat-e-armaan say mera dam ghutnay laga ha,
Tum reshmi zulfon ki hawa Q nahi detay?
Chup chup ke shigafon say mujhay yoon to na jhaanko,
Tum raah ke deewar gira Q nahi detay?
=============================================
Sirf
itna usay
Bata Dena
Mujy
Aata Nahi
Bhula Dena..
Meri
Baatain tu
sirf Baatain
Hain..
Yaad Aayain
kabhi tu Muskura Dena.!

Reviewed by Gupshup Corner
on
10:36
Rating:
No comments: