Udaas Ratain!!

Aao udas raton me,
Dil ki basti me aa k dekho,

Har ek rasta,Har ek daricha,
Tumhari chaht ka muntazir hai,

Falak se takta hai chand tum ko,
Sitare tum ko bula rahe hain,

Tumhari amad k muntazir hain,

Mujhe yaqin hai
Tumhare dil me,
Gaye dino k khayal hain kuch,
Naye safar k malal hain kuch,
Nai ruton k sawal hain kuch,

AGAR
Ye sach hai to meri mano,

Puranay raston pe loat aao,
Purani basti me koi ab tak,
Tumhari amad ka muntazir hai . . .
Udaas Ratain!! Udaas Ratain!! Reviewed by Gupshup Corner on 10:54 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.