yaado ko sajata tha kabhi

wo tasvvur jo akele me hasata tha kabhi
wo ek shaks khayalo me jo aata tha kabhi

jiske aane se hawao se mehek uthti thi
wo jo chalta huva saba ko jalata tha kabhi

jiske hasi ne gulo ko bhi saliqa baksha
jo tehalta huva lehro ko sikhata tha kabhi

saare taaro ki chamak mand kiye deta tha
wo jo palko ke nazaakat se uthata tha kabhi

ab ke dushwar hai kyon uska tasvvur karna
jiska chehra meri yaado ko sajata tha kabhi..
yaado ko sajata tha kabhi yaado ko sajata tha kabhi Reviewed by Gupshup Corner on 23:57 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.